Hazrat qamar dar aqrab ka matlab kya hota hai?

Jawab:

Qamar Dar Aqrab Yaani Chaand jab Burj e Aqrab mein hota hai to safar karne ko Bura jaante hain.

Aur Nujoomi ise Manhoos bataate hain aur jab Burj e Asad mein hota hai to kapre qata karaane (katwaane) aur silwaane ko bura jaante hain.

Aisi baato ko hargiz na maana jaayein.

Ye baatein khilaaf e shara aur Nujoomiyo ke dhakosle hain.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love