Aap ki wilaadat 11 Rabi ul awwal 1336 Hijri (27 December 1918 A.D.) ko Peer ke roz Nander, Hyderabad me hui.nnAap ke waalid ka naam Ghulam Jeelaani bin Mohammad Noor-ud-deen hai.nnAap ne apne waalid se ibtidai ta?aleem haasil ki aur 14 saal ki umr me Hafiz e Quran hue. Aur Hazrat Hafiz e Millat Hafiz Abdul Azeez Mubarakpuri rahmatullahi alaihi se sanad haasil ki.nnHazrat Hafiz e Millat ke mashware 1354 Hijri (1935 A.D.) me Aap Mubarakpur jaakar Madrasa Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom me Hafiz e Millat Abdul Azeez Mubarakpuri, Sanaullah Aazami aur Muhammad Sulaiman Bhagalpuri se Hadees, Fiq’h aur deegar uloom ki ta?aleem haasil ki.nn1362 Hijri (1943 A.D.) me Aap Hafiz e Millat ke saath Jaamia Arabia, Nagpur gaye aur waha Aap ko Dastaar-e-Fazeelat ata ki gayi.nn1358 Hijri (1939 A.D.) me Aap Hafiz e Millat ke saath Ghosi gaye aur us waqt Huzoor Sadrush-Shariah Bareilly Shareef se Ghosi tashreef laaye the.nnAap ne Huzoor Sadrush-Shariah Maulana Amjad Ali Azami se Sahih Bukhari ta?aleem haasil ki aur phir namaz e asr ke baad Aap Huzoor Sadrush-Shariah ke mureed hue.nn1365 Hijri (1946 A.D.) me Aap Huzoor Sadrush-Shariah ke saath Nagpur mehfil e Naat me gaye.nnHuzoor Sadrush-Shariah ke farmaan par Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ne Maulana Jaami ki naat padhi.nnJise sunkar Huzoor Sadrush-Shariah ki aankho me aansoo aa gaye aur usi jalse me unho ne Aap ko Khilaafat ata farmai.nnHindustan ki aazaadi aur Taqseem e mulk ke kuch arse baad Aap Pakistan chale gaye.nnKharadar me Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi Akhund Masjid me Imaam (Khateeb) bane.nnPhir Jodia Bazaar ki Khori Garden Masjid me Imaam bane.nn40 saal tak Aap ta?eleem wa tadrees karte rahe.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi hamesha ba-wuzu talba ko ta?aleem dete.nnAap puri zindagi Islam aur Ahle Sunnat wal Jamaat ki khidmat karte rahe.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ne bahot saare Pakistani talba ko majeed ta?aleem ke liye Madarsa Qadriya me Baghdad bheja.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ke shaagirdo me Allama Mufti Sayyed Shah Turab-ul-Haq Qadri Razawi rahmatullahi alaihi, Allama Abdul Azeem Qaadri aur Maulana Muhammad Qasim Bareilwi mash’hoor hain.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ke 3 saahabzaade hai:n
- n t
- Muhammad Moeen-ud-deen
- Muhammad Misbaah-ud-deen
- Muhammad Salaah-ud-deen
n t
n t
n
nAap Hazrat Sadrush-Shariah Allama Amjad Ali Azami rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ko Huzoor Mufti-e-Azam-e-Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullahi alaihi aur Hazrat Qutb-e-Madeena Allama Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullahi alaihi ne bhi khilaafat ata farmayi hai.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ke khulfa:n
- n t
- Hazrat Allama Mufti Sayyed Shah Turab-ul-Haq Qadri Razawi rahmatullahi alaihi (Karachi / Pakistan)
- Hazrat Allama Abdul Azeem Qaadri (Bangladesh)
n t
n
n7 Jamaadi ul saani 1403 Hijri (23 March 23 1983 A.D.) ko dopahar ko Aap ki tabiyat na-saaz hui.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ne Kalma aur Durood shareef padhna shuru kar diya.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ko ambulance me hospital le jaa rahe the, tab dil ke daure ki wajah se Aap ka inteqal hua.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ka wisaal 7 Jamaadi us saani 1403 Hijri (23 March 1983 A.D.) ko Budh ke roz hua.nnAap ki namaz e janaza Hazrat Tajushshariah Akhtar Raza Khan rahmatullahi alaihi ne padhai.nnHazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi ka mazaar Karachi (Pakistan) me hai.nnALLAH ta?ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe menAur Hazrat Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele sennSab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke imaan ki hifazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye.nnAur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek Jaayiz muraado ko puri farmaye.nAameen.